1 2 3 4 5 ... Next  Last
Aise duniyan mein jee raha alam

Aise duniyan mein jee rahaa alam

Ranj zyada hai aur khushi hai kam

 

Zeest ne hum ko kya diya alam

Kyun yahan roz mer rahe hain hum

 

Tashnagi aur badh gayee alam

Aankh jab apni ho gayee pur-nam

 

Aur zyada tadap uttha alam

Jab lagaya tabib ne marham

 

Ban gaya karbla joy yeh alam

Yaad aaya Hussain ka maatam

1 2 3 4 5 ... Next  Last