Bebas hun bohat zyada bezaar
bohat hun
Iss roz ke merne se
halkaan bohat hun
Koi raah ka raahi ho to
faisla mein ker lun
In apnon kay aagey mein
lachaar bohat hun
Yeh khel siyasat ka sab
jaanta hun mein bhi
Waise to mein hun jaahil
bedaar bohat hun
Siyasat ke khilari ne
tareef batai yun
Surat to hai bholi si
ayyar bohat hun
Un say koi jaaker ye keh
de meri jaanib se
Aa jayen kafan lekar
beemar bohat hun
Iss
fun se mili mujh ko her gaam pe ruswai
Shayer
to mein hun achcha badnaam bohat hun
Bas baton hi baton mein
dil uss ka chura daala
alam ki tarah mein bhi
dildaar bohat hun
