Dhalnein lagi hai shaam sanam terey shehar mein
Hoga qayam aaj sanam tere shehar mein
Sooraj bhi chup gaya kahin badal ki oat mein
Aisi chali hai serd hawa tere shehar mein
Girgit ko poojte hain yahan rangon mein dubo ker
Dekha ajab riwaj sanam tere shehar mein
Her simt aap hi dikhe jis simt bhi gaya
Aankhen huyeen kharab sanam tere shehar mein
Tujh ko mere qareeb bhari mehfil mein dekh ker
Sab ho gaye khilaaf sanam tere shehar mein
Phoolon ke gird ghoomti titli ko dekh ker
Mein ho gaya jawaan sanam tere shehar mein
Tujh ko fareb se bhari duniya se chheen ker
Menein parhi namaaz sanam tere shehar mein
ALAM teri zameen ki khushbu ko dekh ker
boyenge hum gulab sanam tere sheher mein
