Start  Previous ... 16 17 18 19 20 21 22 23 24 ... Next  Last
Kis ne yeh banayee hai

kis ne yeh banai hai  kaisi yeh dawa hai

Rindon ko to de rahat zahid ko mana hai

 

Ahsas tera dil mein dharkan ki tarah hai

Jab tak hai ghanimat hai na ho to qaza hai

 

Apni bhi haqiqat kisi sufi ki tarah hai

Hai noor to chehre per ghar hai na rida hai

 

Shayer ka amal bhi kisi saqi ki tarah hai

Hai kaam sukhanwar ka logon ka nasha hai

 

Maan baap ki hasti ab nigraan ki tarah hai

Mehmaan hain yeh bachche haq in pe kahan hai

 

Yeh chand tasavir jo apnon ki tarah hain

Inko na kabhi khona Alam ne kaha hai

Start  Previous ... 16 17 18 19 20 21 22 23 24 ... Next  Last