Holi ki hararat se
Apnon ki shararat se
Jaag uthay armaan
Hai re mein qurban
Hai re mein qurban
Rangon ke railey hain
Khushion ke mailey hain
Tafreeh kaa toofan
Hai re mein qurban
Hai re mein qurban
Bhayya aur bhabhi hain
Bachpan ke saathi hain
Sab ke mukh muskaan
Hai re mein qurban
Hai re mein qurban
Bhaang ka nasha bhi hai
Aap ki adaa bhi hai
Dheron hain pakwan
Hai re mein qurban
Hai re mein qurban
Paap ka samapan hai
Bhakti ka udahran hai
Vishnu ji hain mahaan
Hai re mein qurban
