Hindustan ki alaa shaan
Yeh to hai hum sab ki jaan
Kyun na sab ko pyar ho isse
Mera desh to hai hi mahan
Aapas mein sab rehte mil ke
Kahin shankh hai kahin azaan
Zar, zameen aur zewar bhi
Mera sub tujh pe qurban
Ghaddaron ki khair nahin ab
Bachenge kab tak be-imaan
Dushman bhi ab poonch raha hai
Kaise ho tum bhai jaan
Sab se aage ho Alam mein
Yeh hai hum sab ka imaan
