Majburan Hum bhi dekhenge
Woh din jis ka armaan nahin
Jo laanat hai verdaan nahin
Hum Dekhenge
Majburan hum bhi Dekhenge
Jab haq per larne walon ko
Naadan bataya jayegaa
Jab sach per chalne walon ko
Chun chun ke sataya jayega
Jab zulm ki moti chader se
Insaaf dabaya jayega
Hum Dekhenge
Majburan hum bhi Dekhenge
Jab chand siyasi bad-niyant
Qanoon shikan aur awara
Majboor karenge munsif ko
Aur Dehshat-O-wehshat ke dum per
Yeh desh Chalaya jayega
Hum Dekhen ge
Majburan hum bhi Dekhenge
Jo mer ker ab tak zinda
hain
Jo qaum se ab sharminda hain
Aise la-faani murdon ko
Qabron se uthaya jayega
Sheeshe ki deewaron mein
unko
Ibrat ko sajaya jayega
Hum Dekhen ge
Majburan hum bhi Dekhenge
Jab Mandir Masjid Girja mein
Koi naam na lega maula ka
Chaandi ki khanak ke aage jab
Koi moul na hoga insaan ka
Aulaad ko de ker sab khushian
Maa-baap jo der-der bhatkenghe
Hum Dekhen ge
Majburan hum bhi Dekhenge
Hum Dekhen ge
