Maut ki arzoo nahin jaati
Maut ki arzoo nahin jaati
Jism se jaan bhi nahin jaati
Maut ki mujh ko uth rahi hai talab
Jaan zalim magar nahin jaati
Koi ummeed ho to hans bhi len
Dil se mayusi par nahin jaati
Yun to munh mein zuban rakhta hun
Baat un tak magar nahin jaati
Kyun main chup hun koi punche to sabab
Chheekh-ta hun sada nahin jaati
Yaad rehti hai bas ke iss dil mein
Unke aane talak nahin jaati
Jaanta hoon azab-e-kufr-o-gunah
Mai ki adat magar nahin jaati
Mai-kashi chhorne se kya haasil
Chashm-e-saaqi ki latt nahi jaati
Kaaba’a jaane ka dil to hai alam
Munh se iss main ki boo nahi jaati