Mein chala jaunga ek roz yeh kehna usse
Yaad ayegi bahut baad mein kehna usse
Meri ankhon mein to ek aab ka darya hoga
Woh bhi royega subho-shaam yeh kejna usse
Mein to afsaus ki zanjeer mein jakda hoonga
Gham mein hoga woh giraftaar yeh kehna usse
Mere cherche to hain ab shehar ki her mehfil mein
Woh bhi ho jaye na badnaam yeh kehna usse
Meri taqdir mein likha hai bicharna ALAM
Naa ho hairan-pareshaan yeh kehna usse
