Bohat tha bojh hum sab ka jo abbu nein uthaya tha
Magar hai firz yeh mera, humain itna bataya tha
Hamari roz marrah ki zarorat thi bohat ziyada
Sabhi bacchon Ko phir bhi aapnen Aala padhaya tha
Mein kehta tha thilone do, mein kehta tha ke loti do
Tallaffuz theek kaisa ho yeh abbu nein sikhaya tha
Bas abbu yaad ate hain mein jab zeeney pe charta hoon
Ke paheli baar seedi per unhon ne hi charhaya tha
Kaha tha abbu nein humse koi bhi kaam ker lena
Magar jeena nahin jhuk ker hamein yeh bhi bataya tha
Mein mushfiq hoon mujhe meboob hain Allah ke sab bande
Kisi ko ghair mat samjho yeh abbu nein sikhaya tha
Main momin hoon mera Alam mere abbu meri Ammi
Badon se rabt rakhna hai yeh abbu nein sikhaya tha
