Meri ammi mujhe her waqt seeney se lagati thi
Jagi rehti thi saari rat per mujh ko sulati thi
Zara sa mere ronein per woh yak dum jaag jaati thi
thapakti thi mujhe dheere se aur lori sunati thi
Kahani aur khilonon se kabhi jab bhi oob jaata tha
Ruppata baandh ker dar per mujhe jhula jhulati thi
Koi chijji na milnein per mein jab bhi rooth jata tha
Bitha ker god mein mujh ko dahi makhkhan khilati thi
Kabhi nadaani per meri jo abba dant-te mujh ko
Chupa leti mujhe aanchal mein aur khud daant khati thi
Kabhi maatha garam ho ya mujjhe ek cheenk aajaye
Nazar bad se bachanen ko sada mirchi jalati thi
Zara budhi hai ab ammi magar ab bhi use akser
Woh angan yaad aata hai jahan mujh ko sulati thi
Bada ahsan ALAM per ke tune aisi Ammi di
Jo khud mushkil me rehti thi magar mujhko hansati thi
