Mujhe yaad hai ab bhi guzra zamana
Bina baat baithe huye muskranan
Na biwi ke taane na bachchon ki zid thi
Sada ghar mein rehta tha hasna hasaanan
Woh hamsaye ki chhatt pe her roz jaa ker
Hari neeli-peeli patanggein urana
Yeh abba se keh ker ke jaata hoon masjid
Magar teri galiyon ke chakkar lagana
Magar zindagi bun gai ab to dozakh
Kahan kho gai jaane chehre ki raunaq
Nahin mushkilon ka hai ab kuch thikana
Mujhe yaad hai ab bhi guzra zamana
Bina baat baithe huye muskranan
