Poshida perde mein kab tak rahegi
Gul Ki kali to khil ke rahegi
Ankhon mein kajal aur ser pe baadal
Aaj qayamat aa ke rahegi
Aaye hain woh aaj zulfein bakhere
Baarish yahan aaj ho ke rahegi
Chehre pe bhi aaj unke chamak hai
Yeh bijli hum per gir ke rahegi
Yahan sab ke sab hain tere gham ke mare
Saansen kisi ki thum ke rahengi
Teri
adaon ka diwana ALAM
Biwi khafa is-se ho ke rahegi
