Phoolon se khushbuon ko churanein mein reh gaye
Hum titliyon key rang uraanein mein reh gaye
Mujh be-aqal ki chapp gayee ghazalon ki ek kitab
Aaqil jo theye woh lafz sajanen mein reh gaye
Humnein patang ura ke maanjha bhi rakh diya
Jo tang nazer theye paich laranein mein reh gaye
Jo loot- tey hain mulk woh sab bawaqar hain
Hum kamtareen desh bachanein mein reh gaye
ahbab jaake mil gaye sab dushmanon ke saath
Hum dushmanon ko dost bananen mein reh gaye
Alam
se pooncha jab bhi kya hai tujhe malal
Kehta hai rasam-e-ulfat nibhanein men reh gaye
