Dur mujh se na janein ka wada karo
Saath sadion nibhanein ka wada karo
Mein Ibaadat mein katunga yeh zindagi
Roz masjid mein milnein ka wada karo
Khwab mein bhi tumhare na aaonga mein
Tum mujhe bhool jaanein ka wada karo
Dushmani is jahan se nibha loonga mein
Tum sada muskranen ka vada karo
Shamma saari ki saari bujha doonga
Rukh se parda hatanein ka wada karo
Zindagi aap ke naam likh doonga mein
Ghazlein ALAM ki gaanein ka wada karo
