kis ne yeh banai hai kaisi yeh dawa hai
Rindon ko to de rahat zahid ko mana hai
Ahsas tera dil mein dharkan ki tarah hai
Jab tak hai ghanimat hai na ho to qaza hai
Apni bhi haqiqat kisi sufi ki tarah hai
Hai noor to chehre per ghar hai na rida hai
Shayer ka amal bhi kisi saqi ki tarah hai
Hai kaam sukhanwar ka logon ka nasha hai
Maan baap ki hasti ab nigraan ki tarah hai
Mehmaan hain yeh bachche haq in pe kahan hai
Yeh chand tasavir jo apnon ki tarah hain
Inko na kabhi khona Alam ne kaha hai
