Andhi tha tufaan tha
Zinda dil shakil tha
Jalwa benazir tha
Mehfilon ki shaan tha
Her gali mein naam tha
Mein bhi kabhi Jawan tha
Mein daurta tha her taraf
Pehchaanti thee her sadak
Khel kya khalyan kya
Shehar kya veeran kya
Sab thay mere zer-e-Paa
Mein daurta din raat tha
Mein bhi kabhi Jawan tha
Tabiyat mein thee awargi
Doston ki fauj thee
Panchi mein azaad tha
Pinjra thaa naa jaal that
Shehar ke deewanon mein
Mera awwal naam tha
Mein bhi kabhi Jawan tha
Jidhar bhi jaata tha nikal
Log jaate thay sambhal
Juli, Nabeela aur Saba
Ghere rehti theen sada
Sab hi ka mein khas tha
Sab ko mujh se pyar tha
Sab hi meri mureed theen
Mein ladkiyon ki jaan tha
Mein bhi kabhi Jawan tha
Phir yun huwa shaadi hui
Zindagi aadhi hui
Shayista ek gul-badan
Ban gai meri dulhan
Mehjabeen ka saath tha
Ek naya aaghaz tha
Raat din aathon pehar
Bas usee ka naam tha
Mein bhi kabhi Jawan tha
Zindagi aage badhi
Azmaish thee kadi
Bachche mere masoom se
Mujh se bade hone lagey
Dost aur ehbab sab
Mujh se juda honey lage
Kyun hai itni be-basi
Kya yehi hai zindagi
Mein akela baith ker
Sochta din raat tha
Mein bhi kabhi Jawan tha
Jab ke mein jawan tha
Josh tha ufaan tha
Per naa mujh ko tha sabar
Sach se tha mein be khabar
Ab ke jab boodha hua
Shakhs mein pura hua
Ab hai mujh ko sab khabr
Akhrat ki hai fikar
Pehle mein nadaan tha
Hasher ka naa dhyan tha
Mein bhi kabhi Jawan tha
