Tumhare shehar mein deewane log baste hain
Tumhein salaam karun to yeh mujh pe hanste hain
Yahaan ke logon ki fitrat to saanp jaisi hai
Inhein jo doodh pilaye yeh unko daste hain
Yeh kaisa shehar hai jismein ke sab hi ulta hai
Yahan imam ke aage namaaz padhte hain
Yahan ke logon ki her reet hi nirali hai
Jo ghar jalao kisi ka, inaam milte hain
Tumhi sambhalo yeh ALAM tumhein mubarak ho
Hum apne pyare watan Hindostan ko chalte hain
